whatsapp Per Bold Italic Or Strike through Message Kaise Likhe

whatsapp Per Bold Italic Or Strike through Message Kaise Likhe
Dosto aaj hum baat krege ki aap kaise whatsapp me bold, italic or strike through message likh kr apne dosto ko send kr sakte ho. Dosto whatsapp ke bare me kon nhe janta. Aaj ke time me har mobile me whatsapp app available hai or koi he aesa person hoga jo whatsapp nhe chlata ho. GBWhatsapp app facebook ke bad dusre sbse jayda popular app hai. Dosto whatsapp ke bare me aap sabhe jante hoge, phir bhe ek bar bta du, whatsapp ek application hai jiske help se hum apne friends ke, family member or relatives ke connect me rhte hai. Hum whatsapp ke help se unhe message kr sakte hai, photos, videos share kr sakte hai. Bold, Italic Or Strikethrough Message Dosto aaj ke time whatsapp per 1.3 billion monthly active user hai or whatsapp per ek din me 55 billion message send hote hai jabki 4.5 billion photos or 1 billion videos share ki jate hai. Toh dosto aap dekh he sakte hai ki whatsapp app kitne popular app hai. Dosto whatsapp apne user ke liye lagatar new new feature apne application me add krte rhte hai. jisse user ko kuch naya milta rhta hai or unka interest whatsapp me or jayda bna rhta hai. Dosto hum bhe aaj aese he ek feature ke bare me baat krne ja rhe hai. Dosto aapne bhut bar dekha hoga ki apke dost message ko kbhe bold krke, kbhe italic krke bhejte rhte hai or aap sochte hoge ki ye message ko bold, italic or Strike through kaise likha jata hai. Toh dosto aaj hum aapko aese he trick ke bare me btane ja rhe jiske help se aap bhe bold, italic word likh payege. Bold, Italic Or Strikethrough Message 1. Whatsapp Message Ko Bold Me Kaise Likhe Dosto whatsapp me message ko bold me likhne ke liye bus aapko krna bus itna hai ki jis bhe word ko aapko bold krna hai uske dono side aapko Star () lgana hoga hai. jaise aapko Trickslav.com ko bold krna hai toh aapko *Trickslav.com likhna hoga. For example trickslav.com trickslav.com 2. Whatsapp Message Ko Italic Me Kaise Likhe Whatsapp me message ko italic me likhne ke liye aapko word ke dono side uderscore ( _ ) lgana hoga. Jaise dosto aapko trickslav.com ko italic me likhna hai toh aapko Trickslav.com likhna hoga. or bad me aapko trickslav..com italic me likha hua dikhaye dega. For example _ trickslav.com _ trickslav.com 3. Whatsapp Message Ko Strikethrough kaise likhe Dosto whatsapp me word ko strikethrough me likhne ke liye aapko bus us word ke dono side tilds(~) lgana hoge. jaise aapko trickslav.com ko strikethrough me likhna hai toh, aapko ise ~trickslav.com~ likhna hoga or phir aapko, trickslav.com me likha hua dikhaye dega. For example ~trickslav.com~ trickslav.com Final word Dosto aapko ise related koi problem ho ya kuch samjhne me problem aa rhe ho toh comment box me comment krkr puch sakte hai. Or dosto is post ko apne dosto, relative ke sath jarur share kare. Thank you dosto Whatsapp 2018 Tips And Tricks In Hindi Mobile Ke Battery Life Bhdhane Ke Tips In Hindi Kya Apko Pta Hai Whatsapp Ke New Feature Send Message Ke Bare me Whatsapp se paise kaise Earn Kare
Back to posts
This post has no comments - be the first one!

UNDER MAINTENANCE

Disneyland 1972 Love the old s